chhod de ..
e mere dost meri baaton pe jana chod de mana nahi jo tune sach ab tak mujh se woh sach manvana chod de jo dekha hai tune woh adhoora sach tha jo kaha hai maine woh sirf ek tathya tha .. lafzon ke is khel mein tu mujh ko samjhana chod de. kaha nahi jo ab tak tune khud se woh mujh se kehalwana chod de. ye bas ek uljhan hai meri baaton mein kuch kam dam hai jo sachi hain baatein teri to meri baaton ko apnana chod de. shabdon mein mere mujh ko na tatol, baaton ki gehrayi ka kya hai aakhir mol baatein reh jati hain yaadein ban kar in baaton ke sang tu mera saath nibhana chod de. apne dil ki sunta hai apne dil ki hi sun, aaj fir se mujhe akela kar e 'aks' aaj fir se mujhe mere shabdon ke saath 'chod de'..