Direct Dil Se !!
Yun hi beeti jaye zindagi,
kabhi mile gum kabhi aaye khushi.
hote hai jab aasmaan se oonche armaan,
takrate hai hum aur pate hai gumnaam gehraayiaan.
nazar aati hai kabhi daudti khule aasmaan ke tale,
to kabhi band deewaron mein simat si jati hai.
bikhar jati hai aksar palon mein yun hi,
milti hai fir jholiyan bhar kahin.
kabhi dhokhon se dilon ka tootna dikhlati hai,
kabhi anjane chehron mein vishwas jagati hai.
kyon zindagi itna hansati hai,
kyun zindagi itna rulati hai.
aasan nai sahaayad itna, keh pana zindagi ka saar
samjhu kitna bhi magar,uthte hain prashan kai hazaar!!!
"hai ye meherbaaniyan us kartar ki,
jo deta hai duriyan paas lata hai fir wahi."
Thanks for your valuable additions Mother!

Comments