aakhir kyon ?

kabhi bhale kabhi bure chehre milte hain rahon par
kayi saath nibhate hain pal bhar
magar fir chal dete hain apni manzil ki aur
khud ke liye koi naya mukaam jod kar...

hansate hain pal bhar ko
duniya ki saari khushiyon se milate hain,
samjho jab unko aap apni duniya
to hans kar, munh mod kar chale jaate hain.

kabhi darte the hum baantne se dard apna jin se
aaj woh hi aage ja us dard ki hansi udate hain ...

kyun hum ye baat samajh kar bhi
khud ko akela kar aage nai badh paate hain ?
kyun haar rahein hain apne hi haathon
apni is zindagi ki jung ?
jab jaante hain sachai to kyun
is dil ko haathon majboor ho jate hain ?

Comments

Popular posts from this blog

Bhaav - Shabdon se pare

'kyon'