'fitrat'...
pakdo na ret ko muthi mein
ki woh haath se fisal jayega,
pani anjali mein bharne ko hai
muthhi banate hi nikal jayega.
fitrat hai ye aag ki, pani ki
roko na inko behne se...
baat aayi hai jo zuban pe
roko na ise kehne se...
ki ruki agar aag to raakh haath aayegi
ruk gaya jo pani to zindagi thehar jayegi
hastiyon mein hastiyan hoti hain aisi,
fitrat hoti jinki aag ya pani jaisi...
roko na khud ko ki zindagi thaher jayegi,
jane do unko ki zindagi naye rang layegi.
rawangi hai 'fitrat' zindagi ki
ruki to maut 'hasti' ko nigal jayegi
ki woh haath se fisal jayega,
pani anjali mein bharne ko hai
muthhi banate hi nikal jayega.
fitrat hai ye aag ki, pani ki
roko na inko behne se...
baat aayi hai jo zuban pe
roko na ise kehne se...
ki ruki agar aag to raakh haath aayegi
ruk gaya jo pani to zindagi thehar jayegi
hastiyon mein hastiyan hoti hain aisi,
fitrat hoti jinki aag ya pani jaisi...
roko na khud ko ki zindagi thaher jayegi,
jane do unko ki zindagi naye rang layegi.
rawangi hai 'fitrat' zindagi ki
ruki to maut 'hasti' ko nigal jayegi
Comments