'Saza Pyar Ki'

o humdum ye kaisi saza hai
ye to bata tere dil ki raza kya hai.

na kee tune bewaafai
magar na wafa hi nibhai.

kyon la kar choda hai us mod par
jahan dekh nai sakenge kabhi tujhe mud kar.

chahte the jo tum apni chahton ko pana
kyon us din se aaj tak haath mera thama.

kyon jaate jaate bhi dil ko dilaase dete ho
jana hi hai to akela kyon nai mujhe chod dete ho.

kyon khwabon mein aakar ab bhi satate ho
aisa kya gunah hai mera jo barbas hi rulate ho.

meri khushiyon ne tha tumko apna mana
aaj aage nikal gaye to bhool gaya tumko woh zamana.

hum yaad karenge kis ko ye na tumne jana
apna daaman chuda kar pal mein hi kiya begana.

aaj bhi saath rakhne ki baat kee hai,
fir kya khata hui mujh se jo ye 'Saza' dee hai.

fir na kabhi kisi se yun dil lagana,
jaante nahi tum ki bahut mushkil hai pyaar mein
aise 'Pyaar ki Saza' seh pana.....

Comments

Anonymous said…
Saza to use milti hai jisne ki ho koi khata...
Tune to bas pyaar kiya, jaaana use hi khuda ki raza...
kyon lagta hai tujhe, ki thi woh teri galti,o rahgir...
bas bada chal aage tu yun hi, aayega sacha pyar zindagi main fir...
pyaar paana to kismat ki baat hai, na jaan paaya woh sitamgar...
jhume yeh aaaasman, aaaye woh bahaaar, hans de jo tu bas ek baaar...
bas ek baar...bas ek baar...
keep smiling...

Popular posts from this blog

Bhaav - Shabdon se pare

'kyon'