'Faasla'

ye majbooriyan,
chahi anchahi duriyan,
baithe hain tanha
soche ki, kaash mit jayein ye duriyan

woh hain dil ke kareeb
magar aankhon se bahut dur,
nikle the ghar se hum ik din
chahton ka leke dil mein saroor.

sab jaan kar samajh kar
khud ko kiya tha un se dur,
aaj dur hue hai itna
ki ho gaye hain majboor.

duriyan badhti rahi,
in majbooriyon ke darmiyan
na kar sake hum hausla
na lauta sake khud ko woh aashiyan

chah kar bhi kadam
na wapis laut paye hain
dur aagaye hain hum itna
ki dhoondhle lagte wo saye hain.

tamannayein ab bhi magar
dil mein kuch baaki hain.
tamanaon-majburiyon mein
ik hod si jagi hai.
jeetega kaun is mein
ye dekhna abhi baki hai.

nai mumkin asaani se
is haar jeet ka faisla,
aakhir hona hai is se tey
khattam hoga kaise-kab ka ye 'fasla' !!

Comments

Nuts said…
just awesome... but what is it that you are chasing?A shadow or a dream?concentrate on what you are, love yourself...rest all would be rendered meaningless...
Anonymous said…
bohat achi hai thats what im going through

Popular posts from this blog

Bhaav - Shabdon se pare

'kyon'