Posts

Showing posts from April, 2007

'Jeet'

vichlit mann uttejit armaan, kayi dishayein magar rasta, na koi darmiyan! soch hai bekabu ajeeb sa hai ye jadoo, kehne ko hai bahut magar alfaaz, koi kaise doo? kabhi pal mein tha jamghat kabhi pal mein tanhayee, kahin thi pal mein khushiyan aur kahin achanak aankh bhar aayi ! dosti ka ya shayad doston se milan ka tha jadoo, akele jo hue hain to khoya hai khud pe hi kaboo! bharosa tha khud pe jo hai abhi dagmagaya akele mein jo aks ne chehra aks ko dikhaya! kyon umadti hai aas ki ho koi paas, kyon hota hai abhaas tanhayion ka khaas? kyon bikharte hain ehsaas magar fir se jagta hai vishwas na ho jo koi, to bhi jeetna hai mujh ko, mujhi se, fir se aaj !