Posts

Showing posts from September, 2005
Image
Sunrise and Couple .. 

kuch bhi ....

woh hanste hai sab ke sang itna ki humein lagta hai ki hum hi ne unhein sataya bahut tha, na rulayenge ab kabhi hum unko ki unhone kabhi humein hansaya bahut tha ...
Image
Thanks for this pic Suhail ... 
Image
Sunsets 
Image
Taj Mahal 

One Week @ new home

Image
I had spent most part of my life at same place and had always dreamt to go around the world, visiting places, seeing life. Yes, I was blessed with these three years back. Not to mention but I had visited whole lot of places in India in two years that today when I sit back I realise that I always used to have my bags packed. Hence when I moved to US seven months back, least I expected myself to do was to move. Destiny would not have it so, I had to sign new lease for new apartment, thus I had to again pack my bags but for fewer miles. Its been one week ever since I moved in here. This duplex is awesome; with whole lot of space and yet being cozy; with backyard, which is totally green. Looking back at the spirits with which my roomie and one friend has put efforts at furnishing this apartment, I realise how important it has been to make this apartment a sweet home. Feel like living here. And yes I went to Bloomington finally beside heavy downpour and enjoyed photography. The fact is that

Salaam Namaste

Nice movie; good time pass too... Donot remember after how long have I watched new Bollywood release. Probably after 'Paheli' this is the one. I must admit that this is something I have taken from US, watching movies.. There have been times when I visited Indy every weekend to watch new hindi movies as there is no theatre in my town that hosts one. May be, this limitation of not being able to find many movies and choice being limited to select few that too once in week has increased my yearning for movies while staying here. This is the reason that I have missed all those like Dus, Sarkar not because of choice but they were never hosted here. Pretty late here and time to hit the bed, hoping that new day will bring new adventures... may be a visit to Bloomington or may be just troubleshooting some production issues and generating new reports from the week gone by. Huh!! Why am I thinking of week that has not begun yet? Well may be because I have loads to do and I am running sho
Image
Sunsets 

'jawab'

jazba jo chahiye watan pe jaan lutane ko, nai aata woh dil mein yun hi likhti hun tumhein ye samjhane ko. jaan hatheli pe rakh ke chalna tere-mere bas ka khel nahi, ye jazba hai woh jiska tere-mere jazbon se koi mel nahi. karte ho zindagi ka faisla tum 'haar' ya 'jeet' se samjhe nahi zindagi ko shayad abhi tum theek se. jeeta hoga tum ne khud ko shayad khushi hai tumhein is baat ki, haar ke dekho ek baar kisi ke liye woh hoga naya ek ehsaas hi. kya galat hai agar kisi ke sajde mein sab sir jhukayein, kaam kiye hai unhone aise to kyon nai hum is baat ko samajh payein. hai liyakat to kar ke dikhao tum bhi koi aisa kaam mahaan, maane hum tumhari baaton ko na kahe galat tumhein ye jahan. jo rakho tum dil mein khayal marzi hai woh tumhare dil ki, magar na kaho un shaheedon ko jhootha dee jinhone tumhein ye keh pane ki khushi... These thoughts were trigered on reading an article on blogsite which condemned the idea of paying homage to martyrs who have laid their lives in batt
Image
Rainy Evening !! 

'rishtey'

Kuch rishtey bante nahi kuch hum banate nahi, kuch bankar bigad jaate hain jinko hum sanwaar pate nahi. rishtey bantey hain bigadne ko ya shayad bigad ke fir se sanwarne ko. rishton ki ye ajeeb dastaan hai tamam zindagi ka roop hota in se bayaan hai rishtey nibhate hi kat jati hai ye zindagi, zindagi kat jane par 'kat' jaatein hain ye rishtey bhi...

'Saza Pyar Ki'

o humdum ye kaisi saza hai ye to bata tere dil ki raza kya hai. na kee tune bewaafai magar na wafa hi nibhai. kyon la kar choda hai us mod par jahan dekh nai sakenge kabhi tujhe mud kar. chahte the jo tum apni chahton ko pana kyon us din se aaj tak haath mera thama. kyon jaate jaate bhi dil ko dilaase dete ho jana hi hai to akela kyon nai mujhe chod dete ho. kyon khwabon mein aakar ab bhi satate ho aisa kya gunah hai mera jo barbas hi rulate ho. meri khushiyon ne tha tumko apna mana aaj aage nikal gaye to bhool gaya tumko woh zamana. hum yaad karenge kis ko ye na tumne jana apna daaman chuda kar pal mein hi kiya begana. aaj bhi saath rakhne ki baat kee hai, fir kya khata hui mujh se jo ye 'Saza' dee hai. fir na kabhi kisi se yun dil lagana, jaante nahi tum ki bahut mushkil hai pyaar mein aise 'Pyaar ki Saza' seh pana.....
Image
Sunset.... Photography from friend Suhail 

"Weekly Meetings"

hum kahein kaise ki abhi manosthiti kya hai? (manosthiti = mental condition) hum baithein hain "weekly meeting" mein aur band apni zubaan hai. aisa bhi kabhi hota hai ki hum chup reh payein, par yeh jagah hai aisi ki sochte hain kab hum apna munh khol payein. chalega ye silsila chand ghante aur, (chand=some) ik tarfa baaton ke silsile ka abhi to shuru hua hai daur. wo bolenge, bolenge aur bolte chale jayenge, hum kehna chahein bhi kuch to keh nahi payenge. is se badttar kya hogi kisi ki dasha? (badttar=worst) kabliyat ho bahut kuch magar soojhe nahin disha. aise mein kagaz kalam liye hum baithe hain, dil mein hai jo baat wo zubaan ke badle haath se hum kehte hain koi sun le aa kar is dil ki pukaar, nikale koi aakar humein yahan se baahar. koi humein is asaadharan vatavaran se bachaye samjhe humari dasha aur disha koi sujhaye.... koi aaye aur aakar humein bachaye

'Jazba - dosti ka'

zindagi ki is daud main kitne hi chehre rubaru hue, milkar chale kuch kadam hamare magar pal hi mein woh padchinh gum hue. umange jo thin sang chalne ki woh jyon ki tyon theher gayin, ullass bhare dil main kahin virah ki leher daud gayi. Nigahein talaashtin hain aaj bhi un chehron ko Dil ke dhaage mein pirona chahein un dosti ke motiyon ko. Kadam uthte hain har pal Manzil ki or is ummeed ke sang Ki karvan badhaye chalo aage kyonki, honi hain mulakatein abhi doston ki doston ke sang. In the honour of all the wonderful friendships I have had so far.

'O Saathi chal'

Kaun jaane kab kahan Kisi anjaan chehre se mulakat ho? Chaha anchaha woh sapna Hakikat ban tere saath ho. Jaana hai e pathik tujhe aage Rasta tu apna banaye chal, Gar kantila ho pathrila ho rasta To zakhm kha kar bhi muskuraye chal. Manzil hai teri aage kahin Rukna tera dhyay nahin, Soch karvan abhi chala hai Roke na rasta tera guzare pal kahin. Khwaab hain tere aasmaan se unche Aage tu bad nikal, Daler ho hausla kar, Gar hona hai tujhe safal. Safalta ki seedi badhti hai jaati Jaise teri karya kriti, Aage bad, use tey kar Taki ho jaaye weh chhoti kabhi...

Rediscovering Me .....

I donot know why and for whom have I been concealing myself from. Who is it that I am afraid of that it made me create two seperate blog sites. May be I was scared to say all in my heart in open to all.... My own lines .... "kabhi darte the hum baantne se dard apna jin se aaj woh hi aage ja us dard ki hansi udate hain " yeah I know this is true. World shows sympathy but mostly makes fun of it at the end. Might sound offensive to all who genuinely care but the reality is always bitter .. Anyways, the idea of this realisation is to use this space for opening up and not concealing.. and here I go posting my latest creations !!! Past couple of days have been really creative. I have been thinking, I have been writting... It seems like I had forgotten myself completely.. It seems that I am rediscovering myself..... Life has been good... and as quoted by some one.... "I can sum up life in three words ... It goes on"

'fitrat'...

pakdo na ret ko muthi mein ki woh haath se fisal jayega, pani anjali mein bharne ko hai muthhi banate hi nikal jayega. fitrat hai ye aag ki, pani ki roko na inko behne se... baat aayi hai jo zuban pe roko na ise kehne se... ki ruki agar aag to raakh haath aayegi ruk gaya jo pani to zindagi thehar jayegi hastiyon mein hastiyan hoti hain aisi, fitrat hoti jinki aag ya pani jaisi... roko na khud ko ki zindagi thaher jayegi, jane do unko ki zindagi naye rang layegi. rawangi hai 'fitrat' zindagi ki ruki to maut 'hasti' ko nigal jayegi

Ganpati Bappa Morya !!

Image
There is a strong connection that has developed in past couple of years with Ganesh Chaturthi celebration ever since I went to South India where this festival is celebrated with complete fervor. Till two years back I was told that it is best to be in Mumbai to join the celebrations and indeed people throng streets with Ganesha's idol, lots of gulal (color) in their hands, dancing to the beats of drum while carrying the procession and I got to catch the glimpse of the same last year. It was equally amazing this time when I had gone to the "Hindu Temple of Kentucky" on general visit but got the chance to attend complete procession ceremony, and celebrations. I understand whatever God does, does for good as I had paid visit to the same temple the previous week too but to my dismay had found temple being closed the moment we had reached there. We had resolved that we will pay visit the coming weekend and our wait was rewarded in such beautiful way by God :) I wish God heard

aakhir kyon ?

kabhi bhale kabhi bure chehre milte hain rahon par kayi saath nibhate hain pal bhar magar fir chal dete hain apni manzil ki aur khud ke liye koi naya mukaam jod kar... hansate hain pal bhar ko duniya ki saari khushiyon se milate hain, samjho jab unko aap apni duniya to hans kar, munh mod kar chale jaate hain. kabhi darte the hum baantne se dard apna jin se aaj woh hi aage ja us dard ki hansi udate hain ... kyun hum ye baat samajh kar bhi khud ko akela kar aage nai badh paate hain ? kyun haar rahein hain apne hi haathon apni is zindagi ki jung ? jab jaante hain sachai to kyun is dil ko haathon majboor ho jate hain ?

.......

chahe kitna bhi do tum mera saath chahe kitna bhi chudao tum mujh se haath, dil kare to chahe dil mein basao ya chahe meelon dur baithe mujhe bhulao, karo ruswa khud ko mujh se ya do hausla mujh ko, khud se, jab aaungi main paas hai mujhe yeh ehsaas ki tum nahi hoge kahin nahi hoge, abhi duriyon ke darmiyan hain jitni bhi boliyan, mit jayengi dekhna jab dur hongi ye duriyan. apne sansaar mein rame ho ab bhi apne sansaar mein tum rahoge tab bhi, main to us tinke ke saman hun, ud kar yahan tak pahunchi hai jo... aaj kehte ho ki wapis aa ja, kal byah kar khud se karoge dur... kyun aisi baatein kar ke satate ho, jaante ho, ki nai mera basera wahan to kyun ye raaz mujh se chhupate ho. jana hai maine ki nai koi kisi se majboor aakhir jana hota sab ko ik din sab se dur. chahe kitna mujhe roliyan sunao magar ab ye baat mujh se na chupao chahein hum ik dooje ko jitna bhi magar ladni hoti hai ye zindagi ki jung khud hi
Image
Evening !!