Posts

Showing posts from March, 2007

Bhaav - Shabdon se pare

Jin bhavo ko tumne Apni panktiyon mein kaha hai, Un bhavo ko maine kayi baar jiya hai ! who lamha jo tum ne jiya hai, un khushi ke palon ko dil mein kayam maine kiya hai ! tumhare sawalon mein dam hai magar shayad meri soch pe bharosa tumhein kam hai! Jati hun jahan pati hun wahan Wahi khushi wahi waadiyaan. Dil jhoomta hai jis mein Tanha ho kar bhi sab se, Un waadiyon ke beech Mit jaati hain tanhaiyaan! Us hariyaali ke beech Paton par padi os mein Bas hoti hai arzoo ki lapetoon Poora aakaash apne aagosh mein. Ik took dekhti hun Kabhi kshitij ke pare tak ki waadiyan Kabhi ho jati hun madhosh dekh kar Na khattam hone wala raat ka wo aasmaan Kahin lagta hai choo kar aaoon Oonche oothte wo pahad, Kabhi lagta hai jaaoon Us bhavya saagar ke paar. Kabhi udti hun badlon mein To machalta hai mann Kabhi sunti hun koi kilkari To khil utha hain mann. Kabhi koi kaato (squirrel) Mujhe hansati hai Nanhe pairon se daba kar Jab mungfali wo khati hai Kisi koyal ka kookna Kisi bache ka chehkna Kisi kab