Posts

Showing posts from July, 2007
kyon karni hai khwahish kisi ka naam le kar jo khud pe hain yakin to chalo khud ko akela kar! khwahish jo kisi aur ke balboote pe bani ho, toot jaye woh to kyon aankhon mein nami ho? Raah mein milne wale to musafir hain, Kuch pal humsafar ban jaate hain, Jo badalti hain manzilein to, Raah mein akela chod jaate hain. Raahgiron ko apni manzil na batao, jo bani hai kuch yaadein, ho sake to unhe bhool jao!! yaadein jo banti hain sahara kisi ka pa kar toot-ta hai sahara to nikalti hain aankhon se beh kar to rakhna hai kyon khud ko mohtaaj kisi ka bana kar karni hai bandagi kisi ki to sirf bharosa karo khud par! tab bhi bikhrengi khwahishein, aur tootenge armaan, jo dekhoge peeche to milenge apne hi kadmon ke nishan! bharosa jo tum ko fir se dilayenge, kisi toote dil ki daastan na fir se douhrayenge! bharosa tootega nai, khud pe mazboot hoga khwahishon ke tootne pe hi, nai khwaishon ke janam ka josh hoga ! This is in repsonse to DreamCatcher's comment to previous post :-)

khwahish

ekant mein ho sirf 'aks' ka saath na uljhan, na vifalta sirf khushi ki ho baat ! tanhayee mein sirf baat apni chale, na ho koi apna jiski dil ummeed kare ! vichalit na kare jab sannaatte ka shor andhere ka na ho darr roshni kheenche nai apni aur !! na rosh ho kisi ka na uljhan ka ho aalam, na mile hum kisi se bhoolein saare ghum, hum !! na yaad sataye kisi ki saath muskuraane ko na ho humdum, hum soche na kisi ko na soch mein kisi ki ho hum !! jab beet jaaye manzar, jab bhool jayein yaadein to jiyein zindagi ko jyon, hua ho naya janam !!