'jawab'

jazba jo chahiye
watan pe jaan lutane ko,
nai aata woh dil mein yun hi
likhti hun tumhein ye samjhane ko.

jaan hatheli pe rakh ke chalna
tere-mere bas ka khel nahi,
ye jazba hai woh
jiska tere-mere jazbon se koi mel nahi.

karte ho zindagi ka faisla tum 'haar' ya 'jeet' se
samjhe nahi zindagi ko shayad abhi tum theek se.

jeeta hoga tum ne khud ko
shayad khushi hai tumhein is baat ki,
haar ke dekho ek baar kisi ke liye
woh hoga naya ek ehsaas hi.

kya galat hai agar
kisi ke sajde mein sab sir jhukayein,
kaam kiye hai unhone aise to
kyon nai hum is baat ko samajh payein.

hai liyakat to kar ke dikhao
tum bhi koi aisa kaam mahaan,
maane hum tumhari baaton ko
na kahe galat tumhein ye jahan.

jo rakho tum dil mein khayal
marzi hai woh tumhare dil ki,
magar na kaho un shaheedon ko jhootha
dee jinhone tumhein ye keh pane ki khushi...

These thoughts were trigered on reading an article on blogsite which condemned the idea of paying homage to martyrs who have laid their lives in battle fields. The writer had called those soldiers 'loser' and that by dying a soldier actually risked lives of other soldiers.

Comments

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'