'kyon'

oonche aasmaan mein
ghane badlon ke beech,
udi chal jati kahin
sochti hun akhiyan meench!

'kyon' udta hai man
bhare badlon ke jaise,
sachayi-numa pahadi se takra
'kyon' behta hai pani fir aankhon se?

'kyon' koi khwab
aankhon mein aata hai,
aakhir kaise koi chehra
dil mein samata hai ?

fir 'kyon' nam hoti hain
kisi ki yaad mein aankhein,
dil baar baar ro kar
'kyon' zaar zaar hota hai ?

chahton ke dayere mein bandh kar
'kyon' insaan samajh apni khota hai,
vastavikta samajh kar bhi 'kyon'
paristhityon ke haathon majboor hota hai ?

dard se jhoojh kar
dard se hi shakti pa,
fir bhi 'kyon',
dard bhari yaadein sanjota hai?
dard se hi rishta banata hai?

Comments

Anonymous said…
ye kyo ..ka jawab hi shayd mrig trishna hai...har pal jab hame lagta hai jawaab mil gaya..ya uski asha hi nazar aati hai...hum us aud mud jaate hai..lekin fr ek naya daur shuru hota hai...

filhaal..
is "kyo" ka jawaab sachmuch nahi hai mere paas...

its really beautifully expressed aks..
very thotful
Aks said…
@Dream Catcher
Thanks !
The quest is on and I will never want it to end. Life ka maza khattam ho jayega shayad tab :)
Anonymous said…
zindagi ka maza hi wahi hai ha ha..
agar boonde barse na to fir jharne ki khooshboo hi kya :)
Caladrius said…
vastavikta samajh kar bhi 'kyon'
paristhityon ke haathon majboor hota hai ?

kyunki paristhitiyan hi vastavikta tay karti hain. mere khayal se.
Aks said…
@Dream....
boondein na barse
aisa hota hi nai,
kahin behte hain aansoon
kahin hoti hain hansi!

kabhi hoti hai kashish
khud ke aansoon dabane ko,
kabhi khulti hain baahein
jharne ko khud mein samane ko!

sach hai khushboo sab ki
hoti hai alag,
aakhir maza zindagi ka
aata hai tab !

@Sushant
Well said Sushant,,, nazariya hai magar ek dam sach
Anonymous said…
reading this..i go...nishabd
Aks said…
Sorry dear! this is Hindi, an Indian language...
Disha said…
"kyon" dil tarasta hai tumhe paane ko..
kyon pareshan ho jaate ho humare gum ho jaane par..
kyon kareeb aa kar bhi rehte ho durr sada
kyon dekhte ho mujhe iss tarah

..Well written Aks..I like the way u write.. Go on..
Nepali Akash said…
perhaps the reason is "kyon ki saas bhi kabhi bahu thi" !! what ya say?

read a good poem in hindi after a long time. is there anyway we could read it in hindi script?
Aks said…
@Disha
Thanks for the lovely comment. Actually these lines u wrote r part of my new creation :)
Its good to see someone thinking on same lines and yes thanks again for stopping bye

@Nepali Akash
Thanks for the visit to my page Akash. I m just trying to put together both ur lines, the first 'Kyon ki...' the second that poem in hindi is good and wondering what that actually implies... Actually for me 'Kyon ki saas bhi.....' is a negative way of looking at it....I hated that serial to core...n could never convince myself to watch it appreciate whoever did.

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away