'Jazba - dosti ka'

zindagi ki is daud main
kitne hi chehre rubaru hue,
milkar chale kuch kadam hamare
magar pal hi mein woh padchinh gum hue.
umange jo thin sang chalne ki
woh jyon ki tyon theher gayin,
ullass bhare dil main kahin
virah ki leher daud gayi.
Nigahein talaashtin hain aaj bhi un chehron ko
Dil ke dhaage mein pirona chahein un dosti ke motiyon ko.
Kadam uthte hain har pal
Manzil ki or is ummeed ke sang
Ki karvan badhaye chalo aage kyonki,
honi hain mulakatein abhi doston ki doston ke sang.

In the honour of all the wonderful friendships I have had so far.

Comments

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'