Badalte chehre

ik kona hai dil ka
jise sab se chhupana chahti hun,

kaaran nahi maloom fir bhi
us mein tumhein basana chahti hun.

ho nahi tum wahan
jahan maine tumhein basaya tha,

jane kyon us kone ko
apne aansuon se sajana chahti hun.

dhoondh rahin hun aaj fir se
bebasi mein, is ghutan mein,

ye baat koi samjhega nahi
na hi kisi ko batana chahti hun....

*************************************

paas rehna hai mushkil ,
dur woh jane nai dete.

batiyayein agar hum to kehte hain,
waqt zaya kyon karte ho,
na kahein kuch to poochte hain
chup kyon baithe ho.....

dil mein umange kayi jaga kar
shararat aankhon se woh kehte hain,
paas aane ka jhansa de kar
dur se hi alwida keh chal dete hain.

paemana ishq ka pila kar
jaan humari woh loot lete hain,
jab ho jate hain hum bekabu
to dur hum se woh khud ko kar lete hain.

dur khade reh kar
shararton ka asar woh dekha karte hain,
hum jaante hain ye ada hain unki
pyar mein pyar se sazayein woh dete hain.

Comments

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'