khoj

khoya hai maine jo
karna hai hasil woh,

hausle past hain
dikhe nai disha mujh ko.

khud ko bhulaya jo maine
to bhula jahan aaj mujh ko

pa kar sab kuch aakhir
khoya hai maine khud ko.

astitva ki khoj
fir se karni hai mujh ko,

jo khoya tha maine
woh pana hai fir se mujh ko.

jo ruthi hai khushiyan
lautana hai khud ko unko

bas is baar khushiyon ka naya matlab
samjhana hai ab mujhe khud ko.

Comments

Will said…
Akki at her poetic best ! I am simply loved this poectic work! Way to go Akshay.....
Aks said…
Thanks Abhay !
Its after long I realised I never replied to your comments.

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'