kya khoya kya paya..

na jane kya mila kuch kho kar
na jane kya mila kuch pa kar,
jo paya hi nahi tha kabhi,
na jane kya mila aaj use luta kar.

baat do karte hasrat thi ye humhari
na jane kya paya hum ne aaj
apni baat un par luta kar.

samajh kar bhi hum naadan hi rahe
keh nahi paye woh baat jo
'dil' din raat hum se kahe

alfaaz chand aaye zubaan pe
keh na paye jab hue wo saamne
chale gaye hain woh
to ab sochte hain hum,
kya paya aakhir hum ne....
fir se unka didaar pa kar

isi kash-m-kash mein jhoojhte hain
zindagi mein nai raah koi dhoondhte hain
sochte hain jee lenge unki chahat mein
fir poochte hain khud se, e 'aks',
aakhir kya paya tumne unko chah kar

aadaab
'aks'

Comments

Caladrius said…
must say, fabulous lyrics .. javed akhtar part 2 ? :)
Aks said…
Thanks Sushant !!

How do I answer that question of yours? Lets not get into that , right.. I will be what I will be ... no Akhtar... just 'Aks'
Anonymous said…
who ever is this aks.......
main fan ho gaya hun aks ka.....

kisi tute dil se nikla tarana hai ye......
sirf tera hi nahi mere dost, mera bhi fasana hai ye......

love u

G
Aks said…
:)
Thanks for the honouring compliments !!
Aks said…
mera nahi kisi aur ka kalaam hai... par kehti hun.. kyon ki ab ye panktiyan jayad achhe se samajhti hun...

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai
Chot Khane Ki,
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki,
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate,
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki.

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'