chhod de ..

e mere dost
meri baaton pe jana chod de
mana nahi jo tune sach ab tak
mujh se woh sach manvana chod de

jo dekha hai tune
woh adhoora sach tha
jo kaha hai maine
woh sirf ek tathya tha ..

lafzon ke is khel mein
tu mujh ko samjhana chod de.
kaha nahi jo ab tak tune khud se
woh mujh se kehalwana chod de.

ye bas ek uljhan hai
meri baaton mein kuch kam dam hai
jo sachi hain baatein teri to
meri baaton ko apnana chod de.

shabdon mein mere
mujh ko na tatol,
baaton ki gehrayi ka
kya hai aakhir mol
baatein reh jati hain
yaadein ban kar
in baaton ke sang
tu mera saath nibhana chod de.

apne dil ki sunta hai
apne dil ki hi sun,
aaj fir se mujhe akela kar e 'aks'
aaj fir se mujhe mere shabdon ke saath 'chod de'..

Comments

Nuts said…
dil ki jo hum sunte,
to teri meri zaroorat kya hoti,
sab kuch saaf saaf samajhte,
to koi uljhan kyun hoti.

mol kuch baaton ka,
bas humne tumne jaana,
jin baaton ko ab ,
bhool chuka hai zamana.

I wish everyone wud listen to their n n their own heart....things wud be so much simpler.. this is nice yaar...too good...
Caladrius said…
very nice one. soch raha hoon main bhi ek kavita likhu kuchh dino mein.
Aks said…
jo mera dil sirf mere dil ki sune,
to ek dil duje dil se kaise mile,

uljhanon se bani ye zindagi hai,
humein to sirf karni iski bandgi hai
Aks said…
@Sushant

Thanks Sushant !
good idea.. would wanna see one from you ...
Kumarpal said…
Nice one again!.. I like the way you join words and make lines meaningful..
Well may i use your poems? Of course with your blog address as source and not for commercial purpose but just to send it across my friends group..
Aks said…
Thats quite an honour !!
Thanks for checking my blog and appreciating my work.
You may use these creations for healthy discussions. These lines are inspiration of some discussions with friends. I just hope nothing wrong would be taken out of these.
Keep Smiling !1

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'