Toofaaaan

chand lamhon pehle
maine yun socha,
mausam yahan ka bhi kaash
hota bangalore jaisa..

par ye to dilli ke jaisi
baarish hai aayi,
kale badlon mein kaisi
bijli hai chamkayi.

kaisa ye toofaan hai,
kala woh aasmaan hai
kya gadgahat hai,
kya shor hai is waqt..


















suhana sa dikhta ye mausam
kroor hai itna,
nahi ja sakti hun baahar
chahoon main jitna.

tez hawa ke jhonko
ne mujh ko sehmaya,
pedon ke saayen saaye,
hilte darwazon ne dil ko dehlaya.

shaant tha ye mausam
aur shant hi ye mann
baahar ho rahe is shor se
sehma hai mann ka ye chitwan..

sehmi hun lekin
dari to nahi hun,
dekh kar nazara
maze kar rahi hun..
jee rahi hun ye pal, mausam ke sang
office se bunk maar ghar mein laptop ke sang:)

Comments

Nuts said…
sahi sahi, lage raho :-)
Aks said…
lage raho matlab ??

poems likhne ya bunk marne :)
Hardeep said…
Good one! Come to think of it, weren't we discussing Bangalore weather this evening?
Aks said…
preciely Hardeep !!
mausam ne aisa rang badla ki raha nahi gaya irony describe kiye bina :)

Thanks !
Sanjoy said…
Me blorean... I love blore weather although everything is crapped up there now. first lines on blore weather.. good good. I like it,
Aks said…
hey Sanjoy
nebody who has lived in banglore would love that place for atleast one thing (though there are many more)... and that is the pleasent weather.. i know i need not tell u but that how me n Hardeep started talking this evening
Caladrius said…
"sehmi hun lekin
dari to nahi hun,
dekh kar nazara
maze kar rahi hun..
jee rahi hun ye pal, mausam ke sang
office se bunk maar ghar mein laptop ke sang:)"

darr aur sehma hua hona to laazmi hai jab aap office se bunk maar rahe ho !
Aks said…
not really Sushant.. when you have option to work from home. I was scared as water entered my roof, a wooden board covering the duct on the roof came out... but then a call to lease office n get rid of tension of getting it fixed and enjoiee rain :)

Popular posts from this blog

Even This Will Pass Away

'kyon'